Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Liyaqat Ali Aasim

  • Ghazal


koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya


koī ās-pās nahīñ rahā to ḳhayāl terī taraf gayā
mujhe apnā haath bhī chhū gayā to ḳhayāl terī taraf gayā

koī aa ke jaise chalā gayā koī jā ke jaise gayā nahīñ
mujhe apnā ghar kabhī ghar lagā to ḳhayāl terī taraf gayā

mirī be-kalī thī shaguftagī so bahār mujh se lipaT ga.ī
kahā vahm ne ki ye kaun thā to ḳhayāl terī taraf gayā

mujhe kab kisī kī umañg thī mirī apne aap se jañg thī
huā jab shikast kā sāmnā to ḳhayāl terī taraf gayā

kisī hādse kī ḳhabar huī to fazā kī saañs ukhaḌ ga.ī
koī ittifāq se bach gayā to ḳhayāl terī taraf gayā

tire hijr meñ ḳhur-o-ḳhvāb kā ka.ī din se hai yahī silsila
koī luqma haath se gir paḌā to ḳhayāl terī taraf gayā

mire iḳhtiyār kī shiddateñ mirī dastaras se nikal ga.iiñ
kabhī tū bhī sāmne aa gayā to ḳhayāl terī taraf gayā

koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya
mujhe apna hath bhi chhu gaya to KHayal teri taraf gaya

koi aa ke jaise chala gaya koi ja ke jaise gaya nahin
mujhe apna ghar kabhi ghar laga to KHayal teri taraf gaya

meri be-kali thi shaguftagi so bahaar mujh se lipaT gai
kaha wahm ne ki ye kaun tha to KHayal teri taraf gaya

mujhe kab kisi ki umang thi meri apne aap se jang thi
hua jab shikast ka samna to KHayal teri taraf gaya

kisi hadse ki KHabar hui to faza ki sans ukhaD gai
koi ittifaq se bach gaya to KHayal teri taraf gaya

tere hijr mein KHur-o-KHwab ka kai din se hai yahi silsila
koi luqma hath se gir paDa to KHayal teri taraf gaya

mere iKHtiyar ki shiddaten meri dastaras se nikal gain
kabhi tu bhi samne aa gaya to KHayal teri taraf gaya


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+