Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lala Madhav Ram Jauhar

  • Ghazal


the niwale motiyon ke jin ke khane ke liye


the nivāle motiyoñ ke jin ke khāne ke liye
phirte haiñ muhtāj vo ik daane daane ke liye

sham.a jalvāte haiñ ġhairoñ se vo merī qabr par
ye na.ī sūrat nikālī hai jalāne ke liye

dair jaatā huuñ kabhī ka.aba kabhī sū-e-kunisht
har taraf phirtā huuñ tere āstāne ke liye

haath meñ le kar gilaurī mujh ko dikhlā kar kahā
muñh to banvā.e koī is paan khāne ke liye

ai falak achchhā kiyā insāf tū ne vaah vaah
rañj mere vāste rāhat zamāne ke liye

the niwale motiyon ke jin ke khane ke liye
phirte hain muhtaj wo ek dane dane ke liye

shama jalwate hain ghairon se wo meri qabr par
ye nai surat nikali hai jalane ke liye

dair jata hun kabhi kaba kabhi su-e-kunisht
har taraf phirta hun tere aastane ke liye

hath mein le kar gilauri mujh ko dikhla kar kaha
munh to banwae koi is pan khane ke liye

ai falak achchha kiya insaf tu ne wah wah
ranj mere waste rahat zamane ke liye


Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 76)

Leave a comment

+