huā hai sāmne āñkhoñ ke ḳhāndāñ ābād
makān meñ hī hue haiñ ka.ī makāñ ābād
tumhārī yaad meñ ābād jism-o-jāñ mere
tumhāre zikr se hai merī dāstāñ ābād
ujaḌ ga.ī hai har ik samt mausam-e-gul meñ
na bāġhbāñ hai salāmat na gulistāñ ābād
koī payām na koī atā patā un kā
koī batā.e kahāñ par haiñ raftagāñ ābād
ajiib juzv hai ye mere jism kā ki yahāñ
kahīñ yaqīn hai qaa.em kahīñ gumāñ ābād
yahī duā hai mirī aur yahī tamannā hai
sadā rahe merī vaadī yahāñ vahāñ ābād
koī bhī faisla hogā nahīñ rahe jab tak
tumhārī teġh salāmat mirī sināñ ābād
hua hai samne aankhon ke KHandan aabaad
makan mein hi hue hain kai makan aabaad
tumhaari yaad mein aabaad jism-o-jaan mere
tumhaare zikr se hai meri dastan aabaad
ujaD gai hai har ek samt mausam-e-gul mein
na baghban hai salamat na gulistan aabaad
koi payam na koi ata pata un ka
koi batae kahan par hain raftagan aabaad
ajib juzw hai ye mere jism ka ki yahan
kahin yaqin hai qaem kahin guman aabaad
yahi dua hai meri aur yahi tamanna hai
sada rahe meri wadi yahan wahan aabaad
koi bhi faisla hoga nahin rahe jab tak
tumhaari tegh salamat meri sinan aabaad
Leave a comment