Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Barelvi

  • Ghazal


yun bhi mera bayan alag hai kuchh


yuuñ bhī merā bayāñ alag hai kuchh
kyūñki merī zabāñ alag hai kuchh

āḳhirī baar jal rahā huuñ kyā
ab ke merā dhuāñ alag hai kuchh

sirf shakleñ hī haiñ alag varna
tujhmeñ mujh meñ kahāñ alag hai kuchh

jā ki tujh ko muaaf karte haiñ
ranj-e-duniyā yahāñ alag hai kuchh

kholnī hai zabāñ qalam kī aaj
dil meñ uThtī fuġhāñ alag hai kuchh

ham haiñ munkir to kyuuñ kareñ sajda
kyā tirā āstāñ alag hai kuchh

yun bhi mera bayan alag hai kuchh
kyunki meri zaban alag hai kuchh

aaKHiri bar jal raha hun kya
ab ke mera dhuan alag hai kuchh

sirf shaklen hi hain alag warna
tujhmen mujh mein kahan alag hai kuchh

ja ki tujh ko muaf karte hain
ranj-e-duniya yahan alag hai kuchh

kholni hai zaban qalam ki aaj
dil mein uThti fughan alag hai kuchh

hum hain munkir to kyun karen sajda
kya tera aastan alag hai kuchh


Leave a comment

+