Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhtiyar Ziya

  • Ghazal


bikhere zulf ruKH par kaun ye baala-e-baam aaya


bikhere zulf ruḳh par kaun ye bālā-e-bām aayā
ḳhayāloñ kī fazā mahkī bahāroñ kā payām aayā

mizāj-e-yār meñ jab bhī ḳhayāl-e-intiqām aayā
sar-e-fihrist apnā hī gunahgāroñ meñ naam aayā

ajab hañgāma dekhā ham ne saaqī terī mahfil meñ
koī tishna-dahan uTThā koī chhalkā ke jaam aayā

girāñ-koshī meñ afrāzī tan-āsānī meñ pāmālī
mashaqqat suraḳh-rū uTThī tasāhul zer-e-dām aayā

zuhūr-e-sair-chashmī hī dalīl-e-kāmrānī hai
mirā pindār-e-nā-āsūdgī hī mere kaam aayā

ye misra de diyā iqbāl kā kis shoḳh-fitrat ne
samand fikr ke aage 'ziyā' mushkil maqām aayā

bikhere zulf ruKH par kaun ye baala-e-baam aaya
KHayalon ki faza mahki bahaaron ka payam aaya

mizaj-e-yar mein jab bhi KHayal-e-intiqam aaya
sar-e-fihrist apna hi gunahgaron mein nam aaya

ajab hangama dekha hum ne saqi teri mahfil mein
koi tishna-dahan uTTha koi chhalka ke jam aaya

giran-koshi mein afraazi tan-asani mein pamali
mashaqqat suraKH-ru uTThi tasahul zer-e-dam aaya

zuhur-e-sair-chashmi hi dalil-e-kaamrani hai
mera pindar-e-na-asudgi hi mere kaam aaya

ye misra de diya iqbaal ka kis shoKH-fitrat ne
samand fikr ke aage 'ziya' mushkil maqam aaya


Leave a comment

+