dil se agar kabhī tirā armān jā.egā
ghar ko lagā ke aag ye mehmān jā.egā
sab hoñge us se apne ta.āruf kī fikr meñ
mujh ko mire sukūt se pahchān jā.egā
is kufr-e-ishq se mujhe kyuuñ rokte ho tum
īmān vaalo merā hī īmān jā.egā
aaj us se maiñ ne shikva kiyā thā sharāratan
kis ko ḳhabar thī itnā burā maan jā.egā
ab is maqām par haiñ mirī be-qarāriyāñ
samjhāne vaalā ho ke pashemān jā.egā
duniyā pe aisā vaqt paḌegā ki ek din
insān kī talāsh meñ insān jā.egā
dil se agar kabhi tera arman jaega
ghar ko laga ke aag ye mehman jaega
sab honge us se apne taaruf ki fikr mein
mujh ko mere sukut se pahchan jaega
is kufr-e-ishq se mujhe kyun rokte ho tum
iman walo mera hi iman jaega
aaj us se main ne shikwa kiya tha shararatan
kis ko KHabar thi itna bura man jaega
ab is maqam par hain meri be-qarariyan
samjhane wala ho ke pasheman jaega
duniya pe aisa waqt paDega ki ek din
insan ki talash mein insan jaega
Leave a comment