Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanvir Dehlvi

  • Ghazal


ho na kuchh aur is aaghaz ka anjam kahin


ho na kuchh aur is āġhāz kā anjām kahīñ
sāqiyā lab se lagā de tū lab-e-jām kahīñ

vo dil-ārām jo pahlū meñ nahīñ hai apne
dil-e-betāb ko aatā nahīñ ārām kahīñ

sadma-hā-e-shab-e-hijrāñ se girā jaatā huuñ
ai tamannā-e-shab-e-vasl mujhe thaam kahīñ

shaam se hotī haiñ dil par jo balā.eñ nāzil
khol baiThe na huuñ vo zulf-e-siyah-fām kahīñ

le to luuñ bosa-e-ruḳh us kā ye Dar hai 'tanvīr'
ho na jaa.e vo ḳhafā shoḳh-e-gul-andāz kahīñ

ho na kuchh aur is aaghaz ka anjam kahin
saqiya lab se laga de tu lab-e-jam kahin

wo dil-aram jo pahlu mein nahin hai apne
dil-e-betab ko aata nahin aaram kahin

sadma-ha-e-shab-e-hijran se gira jata hun
ai tamanna-e-shab-e-wasl mujhe tham kahin

sham se hoti hain dil par jo balaen nazil
khol baiThe na hun wo zulf-e-siyah-fam kahin

le to lun bosa-e-ruKH us ka ye Dar hai 'tanwir'
ho na jae wo KHafa shoKH-e-gul-andaz kahin


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+