Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista


dahan kholeñgī apnī sīpiyāñ āhista āhista
guzar dariyā se ai abr-e-ravāñ āhista āhista

lahū to ishq ke āġhāz hī meñ jalne lagtā hai
magar hoñToñ tak aatā hai dhuāñ āhista āhista

palaTnā bhī agar chāheñ palaT kar jā nahīñ sakte
kahāñ se chal ke ham aa.e kahāñ āhista āhista

kahīñ laalī bharī thālī na gir jaa.e samundar meñ
chalā hai shaam kā sūraj kahāñ āhista āhista

abhī is dhuup kī chhatrī tale kuchh phuul khilne do
zamīñ badlegī apnā āsmāñ āhista āhista

kise ab TuuT ke rone kī fursat kār-e-duniyā meñ
chalī jaatī hai ik rasm-e-fuġhāñ āhista āhista

mire dil meñ kisī hasrat ke pas-andāz hone tak
nimaT hī jā.egā kār-e-jahāñ āhista āhista

makīñ jab niiñd ke saa.e meñ sustāne lageñ 'tābish'
safar karte haiñ bastī ke makāñ āhista āhista

dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista
guzar dariya se ai abr-e-rawan aahista aahista

lahu to ishq ke aaghaz hi mein jalne lagta hai
magar honTon tak aata hai dhuan aahista aahista

palaTna bhi agar chahen palaT kar ja nahin sakte
kahan se chal ke hum aae kahan aahista aahista

kahin lali bhari thaali na gir jae samundar mein
chala hai sham ka suraj kahan aahista aahista

abhi is dhup ki chhatri tale kuchh phul khilne do
zamin badlegi apna aasman aahista aahista

kise ab TuT ke rone ki fursat kar-e-duniya mein
chali jati hai ek rasm-e-fughan aahista aahista

mere dil mein kisi hasrat ke pas-andaz hone tak
nimaT hi jaega kar-e-jahan aahista aahista

makin jab nind ke sae mein sustane lagen 'tabish'
safar karte hain basti ke makan aahista aahista


Volume-001"

Leave a comment

+