Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wajeeh Sani

  • Ghazal


gile shikwe ke daftar aa gae tum


gile shikve ke daftar aa ga.e tum
are 'sānī' kahāñ ghar aa ga.e tum

kahānī ḳhatm hone jā rahī thī
nayā ik moḌ le kar aa ga.e tum

hañsī meñ Tālne hī jā rahā thā
mirī āñkhoñ meñ kyuuñ bhar aa ga.e tum

zamāna taak meñ baiThā huā thā
zamāne bhar se bach kar aa ga.e tum

maiñ jī lūñgā isī ik pal meñ jīvan
ki jis pal meñ mayassar aa ga.e tum

mire siine pe apnā bojh rakhnā
agar bāñhoñ meñ thak kar aa ga.e tum

duā meñ haath thakte jā rahe the
abhī girte ki yaksar aa ga.e tum

hamārā zarf thā so chup rahe ham
magar aape se bāhar aa ga.e tum

basā-auqāt tum ko bhuul rakhā
magar yādoñ meñ aksar aa ga.e tum

abhī tum se hī milne aa rahā thā
chalo achchhā huā gar aa ga.e tum

mohabbat kī vakālat kar rahe ho
to kyā 'sānī' se mil kar aa ga.e tum

gile shikwe ke daftar aa gae tum
are 'sani' kahan ghar aa gae tum

kahani KHatm hone ja rahi thi
naya ek moD le kar aa gae tum

hansi mein Talne hi ja raha tha
meri aankhon mein kyun bhar aa gae tum

zamana tak mein baiTha hua tha
zamane bhar se bach kar aa gae tum

main ji lunga isi ek pal mein jiwan
ki jis pal mein mayassar aa gae tum

mere sine pe apna bojh rakhna
agar banhon mein thak kar aa gae tum

dua mein hath thakte ja rahe the
abhi girte ki yaksar aa gae tum

hamara zarf tha so chup rahe hum
magar aape se bahar aa gae tum

basa-auqat tum ko bhul rakha
magar yaadon mein aksar aa gae tum

abhi tum se hi milne aa raha tha
chalo achchha hua gar aa gae tum

mohabbat ki wakalat kar rahe ho
to kya 'sani' se mil kar aa gae tum


Leave a comment

+