hādsoñ se be-ḳhabar the log dhartī par tamām
āsmāñ kī nīlgūñ āñkhoñ meñ the manzar tamām
rafta rafta rasm-e-sañg-bārī jahāñ se uTh ga.ī
dhīre dhīre ho ga.e bastī ke sab patthar tamām
tishna-lab dhartī pe jab bahtā hai pyāsoñ kā lahū
muddatoñ maqtal meñ sar ḳham rahte haiñ ḳhanjar tamām
zindagī bikhrī huī hai is tarah fōtpath par
bastiyāñ ābād haiñ aur log haiñ be-ghar tamām
shāhrāheñ daf.atan sho.ale ugalne lag ga.iiñ
ghar kī jānib chal paḌā hai shahr ghabrā kar tamām
sub.h ke saare ujāle rāstoñ meñ kho ga.e
shab ke añdhiyāroñ meñ gum haiñ shaam ke manzar tamām
ab kahāñ vo log vo raunaq vo naġhme vo fazā
shahr kī galiyāñ haiñ suunī suune bām-o-dar tamām
hadson se be-KHabar the log dharti par tamam
aasman ki nilgun aankhon mein the manzar tamam
rafta rafta rasm-e-sang-bari jahan se uTh gai
dhire dhire ho gae basti ke sab patthar tamam
tishna-lab dharti pe jab bahta hai pyason ka lahu
muddaton maqtal mein sar KHam rahte hain KHanjar tamam
zindagi bikhri hui hai is tarah footpath par
bastiyan aabaad hain aur log hain be-ghar tamam
shahrahen dafatan shoale ugalne lag gain
ghar ki jaanib chal paDa hai shahr ghabra kar tamam
subh ke sare ujale raston mein kho gae
shab ke andhiyaron mein gum hain sham ke manzar tamam
ab kahan wo log wo raunaq wo naghme wo faza
shahr ki galiyan hain suni sune baam-o-dar tamam
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 59)
Leave a comment