aks hai ā.īna-e-dahr meñ sūrat merī
kuchh haqīqat nahīñ itnī hai haqīqat merī
dekhtā maiñ use kyūñkar ki naqāb uThte hī
ban ke dīvār khaḌī ho ga.ī hairat merī
roz vo ḳhvāb meñ aate haiñ gale milne ko
maiñ jo sotā huuñ to jaag uThtī hai qismat merī
sach hai ehsān kā bhī bojh bahut hotā hai
chaar phūloñ se dabī jaatī hai turbat merī
ā.īne se unheñ kuchh uns nahīñ baat ye hai
chāhte haiñ koī dekhā kare sūrat merī
maiñ ye samjhūñ koī ma.ashūq mire haath aayā
mere qaabū meñ jo aa jaa.e tabī.at merī
bū-e-gesū ne shagūfa ye nayā chhoḌā hai
nik.hat-e-gul se ulajhtī hai tabī.at merī
un se iz.hār-e-mohabbat jo koī kartā hai
duur se us ko dikhā dete haiñ turbat merī
jaate jaate vo yahī kar ga.e tākīd 'jalīl'
dil meñ rakhiyegā hifāzat se mohabbat merī
aks hai aaina-e-dahr mein surat meri
kuchh haqiqat nahin itni hai haqiqat meri
dekhta main use kyunkar ki naqab uThte hi
ban ke diwar khaDi ho gai hairat meri
roz wo KHwab mein aate hain gale milne ko
main jo sota hun to jag uThti hai qismat meri
sach hai ehsan ka bhi bojh bahut hota hai
chaar phulon se dabi jati hai turbat meri
aaine se unhen kuchh uns nahin baat ye hai
chahte hain koi dekha kare surat meri
main ye samjhun koi mashuq mere hath aaya
mere qabu mein jo aa jae tabiat meri
bu-e-gesu ne shagufa ye naya chhoDa hai
nikhat-e-gul se ulajhti hai tabiat meri
un se izhaar-e-mohabbat jo koi karta hai
dur se us ko dikha dete hain turbat meri
jate jate wo yahi kar gae takid 'jalil'
dil mein rakhiyega hifazat se mohabbat meri
Leave a comment