Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Zarrar Ahmad

  • Ghazal


jo us aankh se nikla hoga


jo us aañkh se niklā hogā
aañsū mere jaisā hogā

us kī yaad meñ kho kar ḳhud ko
reza reza chuntā hogā

dil ke tah-ḳhāne meñ koī
sīḌhī sīḌhī utrā hogā

shaam Dhale ik huuk sunī hai
yaad kā panchhī lauTā hogā

dil kī ujḌī khetī meñ bhī
ḳhvāb suhāne botā hogā

aao maiḳhāne meñ DhūñDeñ
koī to ham jaisā hogā

jo us aankh se nikla hoga
aansu mere jaisa hoga

us ki yaad mein kho kar KHud ko
reza reza chunta hoga

dil ke tah-KHane mein koi
siDhi siDhi utra hoga

sham Dhale ek huk suni hai
yaad ka panchhi lauTa hoga

dil ki ujDi kheti mein bhi
KHwab suhane bota hoga

aao maiKHane mein DhunDen
koi to hum jaisa hoga


Leave a comment

+