kitnī rītoñ meñ dil uljhā rah gayā
baḌh ga.e ham aur zamāna rah gayā
ḳhatm kitnā kār-e-duniyā kar chale
aur kitnā kār-e-duniyā rah gayā
jal bujhe ghar aur fasīl-e-shahr par
raushnī kā shahr likkhā rah gayā
maiñ akelā thā sadā sun kar tum aa.e
dosto maiñ phir akelā rah gayā
chehra-posh ojhal hue bhaḌkā ke aag
aane vaalā ghar ko aatā rah gayā
hausla rakkho safar kā ham-raho
mat ye socho kyā luTā kyā rah gayā
mil ga.e armān miTTī meñ tamām
kūza-gar kuuze banātā rah gayā
kitni riton mein dil uljha rah gaya
baDh gae hum aur zamana rah gaya
KHatm kitna kar-e-duniya kar chale
aur kitna kar-e-duniya rah gaya
jal bujhe ghar aur fasil-e-shahr par
raushni ka shahr likkha rah gaya
main akela tha sada sun kar tum aae
dosto main phir akela rah gaya
chehra-posh ojhal hue bhaDka ke aag
aane wala ghar ko aata rah gaya
hausla rakkho safar ka ham-raho
mat ye socho kya luTa kya rah gaya
mil gae arman miTTi mein tamam
kuza-gar kuze banata rah gaya
Source: Book : Gunaah-e-sukhan (Pg. 69) Author : Kanti Mohan 'Soz' Publication : Kanti Mohan 'Soz' (1990) Edition : 1990
Leave a comment