bū-e-gul sūñgh kar bigaḌte haiñ
ye parī-rū havā se laḌte haiñ
kyuuñ javānī ke pīchhe paḌte haiñ
bhāgte ko nahīñ pakaḌte haiñ
ek din vo zamīn dekheñge
ai falak aaj ko akaḌte haiñ
mal rahe haiñ vo apne ghar mehñdī
ham yahāñ eḌiyāñ ragaḌte haiñ
nāma-bar nā-umīd aatā hai
haa.e kyā sust paañv paḌte haiñ
jis ke haiñ us ke haiñ ham ai jauhar
yaar ban kar kahīñ bigaḌte haiñ
bu-e-gul sungh kar bigaDte hain
ye pari-ru hawa se laDte hain
kyun jawani ke pichhe paDte hain
bhagte ko nahin pakaDte hain
ek din wo zamin dekhenge
ai falak aaj ko akaDte hain
mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan eDiyan ragaDte hain
nama-bar na-umid aata hai
hae kya sust panw paDte hain
jis ke hain us ke hain hum ai jauhar
yar ban kar kahin bigaDte hain
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 29) Author : Rajender Bahadur Mauj Publication : U.P Urdu Academy, Luknow (1997) Edition : 1997
Leave a comment