Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Jalandhari

  • Ghazal


dil ko virana kahoge mujhe malum na tha


dil ko vīrāna kahoge mujhe ma.alūm na thā
phir bhī dil hī meñ rahoge mujhe ma.alūm na thā

saath duniyā kā maiñ chhoḌūñgā tumhārī ḳhātir
aur tum saath na doge mujhe ma.alūm na thā

chup jo huuñ koī burī baat hai mere dil meñ
tum bhī ye baat kahoge mujhe ma.alūm na thā

log rote haiñ merī bad-nazarī kā ronā
tum bhī is rau meñ bahoge mujhe ma.alūm na thā

tum to be-sabr the āġhāz-e-mohabbat meñ 'hafīz'
is qadar jabr sahoge mujhe ma.alūm na thā

dil ko virana kahoge mujhe malum na tha
phir bhi dil hi mein rahoge mujhe malum na tha

sath duniya ka main chhoDunga tumhaari KHatir
aur tum sath na doge mujhe malum na tha

chup jo hun koi buri baat hai mere dil mein
tum bhi ye baat kahoge mujhe malum na tha

log rote hain meri bad-nazari ka rona
tum bhi is rau mein bahoge mujhe malum na tha

tum to be-sabr the aaghaz-e-mohabbat mein 'hafiz'
is qadar jabr sahoge mujhe malum na tha


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+