aahaT pe kaan dar pe nazar is tarah na thī
ek ek pal kī ham ko ḳhabar is tarah na thī
thā dil meñ dard pahle bhī lekin na is qadar
vīrāñ to thī hayāt magar is tarah na thī
har ek moḌ maqtal-e-ārmān-o-ārzū
pahle to terī rāhguzar is tarah na thī
jab tak sabā ne chheḌā na thā nik.hat-e-gulāb
kūcha-ba-kūcha mahv-e-safar is tarah na thī
barsoñ meñ pahle hotī thī nam āstīñ kabhī
arzāñ matā-e-dīda-e-tar is tarah na thī
aahaT pe kan dar pe nazar is tarah na thi
ek ek pal ki hum ko KHabar is tarah na thi
tha dil mein dard pahle bhi lekin na is qadar
viran to thi hayat magar is tarah na thi
har ek moD maqtal-e-arman-o-arzu
pahle to teri rahguzar is tarah na thi
jab tak saba ne chheDa na tha nikhat-e-gulab
kucha-ba-kucha mahw-e-safar is tarah na thi
barson mein pahle hoti thi nam aastin kabhi
arzan mata-e-dida-e-tar is tarah na thi
Source: Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 36) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012) Edition : 2012
Leave a comment