Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Kashmiri

  • Ghazal


aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao


aaj kī tanhā.ī se niklo kal kī ābādī meñ aao
jānāñ kī turbat se uTTho daurāñ ko siine se lagāo

ḳhuub nahīñ ye tarz-e-takalluf aaj ta.āruf ho jaane do
maiñ bhī apne sar ko jhukā.ūñ tum bhī apnī teġh uThāo

TeḌhī nardeñ ulTe ḳhāne madd-e-muqābil be-uslūb
ye chausar kā khel bhī kyā hai chaal chalo to muñh kī khaao

tum hī qātil tum hī munsif phir bhī mujhe afsos nahīñ
āḳhir mere dil meñ kyā hai buujh sako to baat batāo

dil kā vīrāna bhī vahī hai terī tamannā bhī hai vahī
zulmat meñ raushan hai sitāra sahrā meñ jaltā hai alaao

aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao
jaanan ki turbat se uTTho dauran ko sine se lagao

KHub nahin ye tarz-e-takalluf aaj taaruf ho jaane do
main bhi apne sar ko jhukaun tum bhi apni tegh uThao

TeDhi narden ulTe KHane madd-e-muqabil be-uslub
ye chausar ka khel bhi kya hai chaal chalo to munh ki khao

tum hi qatil tum hi munsif phir bhi mujhe afsos nahin
aaKHir mere dil mein kya hai bujh sako to baat batao

dil ka virana bhi wahi hai teri tamanna bhi hai wahi
zulmat mein raushan hai sitara sahra mein jalta hai alao


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 104) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+