vo nahīñ merā magar us se mohabbat hai to hai
ye agar rasmoñ rivājoñ se baġhāvat hai to hai
sach ko maiñ ne sach kahā jab kah diyā to kah diyā
ab zamāne kī nazar meñ ye himāqat hai to hai
kab kahā maiñ ne ki vo mil jaa.e mujh ko maiñ use
ġhair nā ho jaa.e vo bas itnī hasrat hai to hai
jal gayā parvāna gar to kyā ḳhatā hai sham.a kī
raat bhar jalnā jalānā us kī qismat hai to hai
dost bin kar dushmanoñ sā vo satātā hai mujhe
phir bhī us zālim pe marnā apnī fitrat hai to hai
duur the aur duur haiñ har dam zamīn-o-āsmāñ
dūriyoñ ke ba.ad bhī donoñ meñ qurbat hai to hai
wo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai
ye agar rasmon riwajon se baghawat hai to hai
sach ko main ne sach kaha jab kah diya to kah diya
ab zamane ki nazar mein ye himaqat hai to hai
kab kaha main ne ki wo mil jae mujh ko main use
ghair na ho jae wo bas itni hasrat hai to hai
jal gaya parwana gar to kya KHata hai shama ki
raat bhar jalna jalana us ki qismat hai to hai
dost bin kar dushmanon sa wo satata hai mujhe
phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai
dur the aur dur hain har dam zamin-o-asman
duriyon ke baad bhi donon mein qurbat hai to hai
Source: Deewan-e-Aagha
Leave a comment