Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najm Aafandi

  • Ghazal


mohabbat ki wo aahaT pa na jae


mohabbat kī vo aahaT pā na jaa.e
adāoñ meñ takalluf aa na jaa.e

tirī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal dī haiñ
kareñ kyā jab tujhe dekhā na jaa.e

kahīñ ḳhud bhī badaltā hai zamāna
zabardastī agar badlā na jaa.e

mohabbat raah chalte Toktī hai
kisī din zad meñ tū bhī aa na jaa.e

vahāñ tak diin ke sāthī hazāroñ
jahāñ tak haath se duniyā na jaa.e

tire josh-e-karam se Dar rahā huuñ
dil-e-dard-āshnā itrā na jaa.e

kahāñ tum dard-e-dil le kar chale 'najm'
mizāj-e-dard-e-dil pūchhā na jaa.e

mohabbat ki wo aahaT pa na jae
adaon mein takalluf aa na jae

teri aankhon mein aankhen Dal di hain
karen kya jab tujhe dekha na jae

kahin KHud bhi badalta hai zamana
zabardasti agar badla na jae

mohabbat rah chalte Tokti hai
kisi din zad mein tu bhi aa na jae

wahan tak din ke sathi hazaron
jahan tak hath se duniya na jae

tere josh-e-karam se Dar raha hun
dil-e-dard-ashna itra na jae

kahan tum dard-e-dil le kar chale 'najm'
mizaj-e-dard-e-dil puchha na jae


Source: Shola-Zaar

Leave a comment

+