Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


wahshat firaq KHauf tera dhyan al-aman


vahshat firāq ḳhauf tirā dhyān al-amān
kitnī balā.eñ haiñ mirī mehmān al-amān

āñkhoñ ko ḳhīra kar gayā ik jalva-e-sharīr
aur dil ko khā ga.ī tirī muskān al-amān

ik silsila juḌā thā ki phir aañkh khul ga.ī
kis darja ho gayā mirā nuqsān al-amān

ai husn-e-dil-fareb zarā der ko fareb
karne lagā hai hijr pareshān al-amān

ai ish-e-mehrbān koī dam koī darūd
miltā nahīñ koī bhī nigahbān al-amān

aise nikalnā hai tirī bazm-e-jamāl se
jaise kisī badan se koī jaan al-amān

wahshat firaq KHauf tera dhyan al-aman
kitni balaen hain meri mehman al-aman

aankhon ko KHira kar gaya ek jalwa-e-sharir
aur dil ko kha gai teri muskan al-aman

ek silsila juDa tha ki phir aankh khul gai
kis darja ho gaya mera nuqsan al-aman

ai husn-e-dil-fareb zara der ko fareb
karne laga hai hijr pareshan al-aman

ai ish-e-mehrban koi dam koi darud
milta nahin koi bhi nigahban al-aman

aise nikalna hai teri bazm-e-jamal se
jaise kisi badan se koi jaan al-aman


Leave a comment

+