umīd-o-bīm ke aalam meñ dil dahaltā hai
vo aate aate ka.ī rāste badaltā hai
abhī to shaam hai tanqīd kar na rindoñ par
sunā hai raat ga.e mai-kada sambhaltā hai
na koī ḳhauf na andesha aur na raḳht-e-safar
ye kaun hai jo mire saath saath chaltā hai
hamāre vāste jis jā pe hadd-e-fāsil hai
vahīñ se ek nayā rāsta nikaltā hai
ajiib chiiz hai ye karb-e-ḳhud-kalāmī bhī
jo baat kiije to ik silsila nikaltā hai
na jaane kitne sar-e-pur-ġhurūr kaTte haiñ
ajiib shaḳhs hai talvār ban ke chaltā hai
'habāb' shikva bajā laao naqd-e-jāñ ke tufail
tumhāre naam kā sikka yahāñ bhī chaltā hai
umid-o-bim ke aalam mein dil dahalta hai
wo aate aate kai raste badalta hai
abhi to sham hai tanqid kar na rindon par
suna hai raat gae mai-kada sambhalta hai
na koi KHauf na andesha aur na raKHt-e-safar
ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai
hamare waste jis ja pe hadd-e-fasil hai
wahin se ek naya rasta nikalta hai
ajib chiz hai ye karb-e-KHud-kalami bhi
jo baat kije to ek silsila nikalta hai
na jaane kitne sar-e-pur-ghurur kaTte hain
ajib shaKHs hai talwar ban ke chalta hai
'habab' shikwa baja lao naqd-e-jaan ke tufail
tumhaare nam ka sikka yahan bhi chalta hai
Source: Book : Wahid Premi Shakhsiyyat Aur Fan (Pg. 578) Author : Wahid Premi Publication : Educational Publishing House (2016) Edition : 2016
Leave a comment