ai nāseh chashm-e-tar se mat kar aañsū paak rahne de
are bedard rone meñ mujhe bebāk rahne de
baras mat abr miT jaagā bagholā ḳhāk-e-majnūñ kā
ḳhudā ke vāste dasht-e-junūñ kī naak rahne de
dil-e-zaḳhmī hai shā.eq bū-e-gul aur shor-e-bulbul kā
rafū-gar fasl-e-gul meñ ye garebāñ chaak rahne de
ye tāqat nazr hai ai nā-tavānī par bahāroñ meñ
mire hāthoñ ko chāk-e-jeb par chālāk rahne de
nasīhat mujh ko tark-e-ishq kī kuchh farz nahīñ tujh par
na chhoḌ ai shaiḳh sunnat muñh meñ nit misvāk rahne de
uḌā mat ai nasīm-e-bāġh-e-jannat kyā karūñ tujh ko
mire sar par zarā pī kī galī kī ḳhaak rahne de
agar juuñ sham.a-dīd-e-sho.ala-rūyāñ chāhiye 'uzlat'
nazārā tā na jal jā chashm ko namnāk rahne de
ai naseh chashm-e-tar se mat kar aansu pak rahne de
are bedard rone mein mujhe bebak rahne de
baras mat abr miT jaga baghola KHak-e-majnun ka
KHuda ke waste dasht-e-junun ki nak rahne de
dil-e-zaKHmi hai shaeq bu-e-gul aur shor-e-bulbul ka
rafu-gar fasl-e-gul mein ye gareban chaak rahne de
ye taqat nazr hai ai na-tawani par bahaaron mein
mere hathon ko chaak-e-jeb par chaalak rahne de
nasihat mujh ko tark-e-ishq ki kuchh farz nahin tujh par
na chhoD ai shaiKH sunnat munh mein nit miswak rahne de
uDa mat ai nasim-e-bagh-e-jannat kya karun tujh ko
mere sar par zara pi ki gali ki KHak rahne de
agar jun shama-did-e-shoala-ruyan chahiye 'uzlat'
nazara ta na jal ja chashm ko namnak rahne de
Leave a comment