Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lala Madhav Ram Jauhar

  • Ghazal


pae-gul-gasht suna hai ki wo aaj aate hain


pa.e-gul-gasht sunā hai ki vo aaj aate haiñ
phūloñ kī bhī ye ḳhushī hai ki khile jaate haiñ

bahr-e-taskīn-e-dil ahbāb ye farmāte haiñ
aap kahiye to abhī jā ke bulā laate haiñ

gudgudī kar ke hañsāte haiñ jo ġhash meñ ahbāb
kis ke rūmāl se talve mire sahlāte haiñ

aap ke hote kisī aur ko chāhūñ tauba
kis taraf dhyān hai kyā aap ye farmāte haiñ

merī hī jaan ke dushman haiñ nasīhat vaale
mujh ko samjhāte haiñ un ko nahīñ samjhāte haiñ

bulbulo baaġh meñ ġhāfil na kahīñ ho jaanā
har taraf ghaat meñ sayyād nazar aate haiñ

ḳhuub pahchān liyā ham ne tumheñ dil de kar
sach kahā hai ki jo khote haiñ vahī paate haiñ

mujh ko bāvar nahīñ sach sach ye batā de hamdam
tū ne kis se ye sunā hai ki vo aaj aate haiñ

kyā dil o diida bhī harkāre haiñ sub.hān-allāh
laakh pardoñ meñ koī ho ye ḳhabar laate haiñ

dekh achchhā nahīñ 'jauhar' kahīñ maa.il honā
jab bhī samjhāte the ab bhī tujhe samjhāte haiñ

pae-gul-gasht suna hai ki wo aaj aate hain
phulon ki bhi ye KHushi hai ki khile jate hain

bahr-e-taskin-e-dil ahbab ye farmate hain
aap kahiye to abhi ja ke bula late hain

gudgudi kar ke hansate hain jo ghash mein ahbab
kis ke rumal se talwe mere sahlate hain

aap ke hote kisi aur ko chahun tauba
kis taraf dhyan hai kya aap ye farmate hain

meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale
mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain

bulbulo bagh mein ghafil na kahin ho jaana
har taraf ghat mein sayyaad nazar aate hain

KHub pahchan liya hum ne tumhein dil de kar
sach kaha hai ki jo khote hain wahi pate hain

mujh ko bawar nahin sach sach ye bata de hamdam
tu ne kis se ye suna hai ki wo aaj aate hain

kya dil o dida bhi harkare hain subhan-allah
lakh pardon mein koi ho ye KHabar late hain

dekh achchha nahin 'jauhar' kahin mail hona
jab bhi samjhate the ab bhi tujhe samjhate hain


Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 39)

Leave a comment

+