badan ko ḳhaak kiyā aur lahū ko aab kiyā
phir is ke ba.ad murattab nayā nisāb kiyā
thakan sameT ke sadiyoñ kī jab gire ḳhud par
tujhe ḳhud apne hī andar se bāzyāb kiyā
phir is ke ba.ad tire ishq ko lagāyā gale
har ek saañs ko apne liye azaab kiyā
agar vajūd meñ aa kar use na milnā thā
hameñ kyuuñ bhej ke is dahr meñ ḳharāb kiyā
usī ne chāñd ke pahlū meñ ik charāġh rakhā
usī ne dasht ke zarroñ ko āftāb kiyā
badan ko KHak kiya aur lahu ko aab kiya
phir is ke baad murattab naya nisab kiya
thakan sameT ke sadiyon ki jab gire KHud par
tujhe KHud apne hi andar se bazyab kiya
phir is ke baad tere ishq ko lagaya gale
har ek sans ko apne liye azab kiya
agar wajud mein aa kar use na milna tha
hamein kyun bhej ke is dahr mein KHarab kiya
usi ne chand ke pahlu mein ek charagh rakha
usi ne dasht ke zarron ko aaftab kiya
Leave a comment