Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Bhabha

  • Ghazal


jaisa hun jis haal mein hun achchha hun main


jaisā huuñ jis haal meñ huuñ achchhā huuñ maiñ
tum ne zinda samjhā to zinda huuñ maiñ

ik āvāz ke aate hī mar jā.ūñgā
ik āvāz ke sunñe ko zinda huuñ maiñ

khule hue darvāze dastak bhuul chuke
indar aa jaao pahchān chukā huuñ maiñ

aur koī pahchān mirī bantī hī nahīñ
jānte haiñ sab log ki bas terā huuñ maiñ

jaane kis ko raazī karnā hai mujh ko
jaane kis kī ḳhātir naach rahā huuñ maiñ

ab to ye bhī yaad nahīñ ki mohabbat meñ
kab se tere paas huuñ aur kitnā huuñ maiñ

jaisa hun jis haal mein hun achchha hun main
tum ne zinda samjha to zinda hun main

ek aawaz ke aate hi mar jaunga
ek aawaz ke sunne ko zinda hun main

khule hue darwaze dastak bhul chuke
indar aa jao pahchan chuka hun main

aur koi pahchan meri banti hi nahin
jaante hain sab log ki bas tera hun main

jaane kis ko raazi karna hai mujh ko
jaane kis ki KHatir nach raha hun main

ab to ye bhi yaad nahin ki mohabbat mein
kab se tere pas hun aur kitna hun main


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+