baara mahīne hijr ke guzre malāl meñ
lākhoñ hī rañj ham ne sahe ek saal meñ
laate nahīñ faqīr kisī ko ḳhayāl meñ
allāh vaale mast haiñ apne hī haal meñ
taklīf-e-qaid-e-zulf mire dil se pūchhiye
ḳhāliq kahīñ phañsā.en na machhlī ko jaal meñ
sun kar savāl-e-vasl vo 'jauhar' se kahte haiñ
kuchh baat ho to aa.e hamāre ḳhayāl meñ
bara mahine hijr ke guzre malal mein
lakhon hi ranj hum ne sahe ek sal mein
late nahin faqir kisi ko KHayal mein
allah wale mast hain apne hi haal mein
taklif-e-qaid-e-zulf mere dil se puchhiye
KHaliq kahin phansaen na machhli ko jal mein
sun kar sawal-e-wasl wo 'jauhar' se kahte hain
kuchh baat ho to aae hamare KHayal mein
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 33)
Leave a comment