Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lala Madhav Ram Jauhar

  • Ghazal


fariyaad kare kis se gunahgar tumhaara


fariyād kare kis se gunahgār tumhārā
allāh bhī hākim bhī taraf-dār tumhārā

kaabe kī to kyā asl hai us kūche se aage
jannat ho to jaa.e na gunahgār tumhārā

dard-e-dil-e-āshiq kī davā kaun karegā
sunte haiñ masīhā bhī hai bīmār tumhārā

'jauhar' tumheñ nafrat hai bahut bāda-kashī se
barsāt meñ dekheñge ham inkār tumhārā

fariyaad kare kis se gunahgar tumhaara
allah bhi hakim bhi taraf-dar tumhaara

kabe ki to kya asl hai us kuche se aage
jannat ho to jae na gunahgar tumhaara

dard-e-dil-e-ashiq ki dawa kaun karega
sunte hain masiha bhi hai bimar tumhaara

'jauhar' tumhein nafrat hai bahut baada-kashi se
barsat mein dekhenge hum inkar tumhaara


Leave a comment

+