Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dinesh naaidu

  • Ghazal


raat se din ka wo jo rishta thi


raat se din kā vo jo rishta thī
shaam thī aur kaisī tanhā thī

ḳhat ke purze paḌe the kamre meñ
ik purānī kitāb bhī vā thī

sab ke matlab ke ḳhvāb the us meñ
shab ke hāthoñ meñ ek puḌiyā thī

raat bhar āñdhiyoñ kā daur chalā
shāḳh par ik udaas chiḌiyā thī

un dinoñ jab vo mere saath hī thā
merī duniyā bhī ek duniyā thī

jhiil jaisī thiiñ us kī hī āñkheñ
baaqī duniyā to ḳhair sahrā thī

āḳhirash Dūbnā paḌā mujh ko
aarzū thī yā koī dariyā thī

raat se din ka wo jo rishta thi
sham thi aur kaisi tanha thi

KHat ke purze paDe the kamre mein
ek purani kitab bhi wa thi

sab ke matlab ke KHwab the us mein
shab ke hathon mein ek puDiya thi

raat bhar aandhiyon ka daur chala
shaKH par ek udas chiDiya thi

un dinon jab wo mere sath hi tha
meri duniya bhi ek duniya thi

jhil jaisi thin us ki hi aankhen
baqi duniya to KHair sahra thi

aaKHirash Dubna paDa mujh ko
aarzu thi ya koi dariya thi


Source: Deewan-e-Aagha

Leave a comment

+