Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejazulhaq Shahab

  • Ghazal


dil mein paigham-e-mohabbat sa utara jaun


dil meñ paiġhām-e-mohabbat sā utārā jā.ūñ
is se pahle ki kisī bhiiḌ meñ maarā jā.ūñ

vasl kī chaah meñ ye hijr kamāyā maiñ ne
hijr ko ḳharch karūñ ziist se haarā jā.ūñ

rūThī taqdīr huuñ to mujh ko manāyā jaa.e
aur gar bigḌā muqaddar huuñ sañvārā jā.ūñ

ek arse se ḳhalāoñ se sadā aatī hai
aisā lagtā hai mujhe us ne pukārā jā.ūñ

maiñ nahīñ un meñ ki jo ḳhud ko kisī par thopeñ
bhar gayā mujh se agar dil ye tumhārā jā.ūñ

ab yahāñ pahle sī jazbāt meñ shiddat na rahī
ab yahāñ hogā nahīñ apnā guzārā jā.ūñ

de ḳhudā kaash use dil kī masīhā.ī 'shahāb'
aur sahīfoñ sā maiñ phir us pe utārā jā.ūñ

dil mein paigham-e-mohabbat sa utara jaun
is se pahle ki kisi bhiD mein mara jaun

wasl ki chah mein ye hijr kamaya main ne
hijr ko KHarch karun zist se haara jaun

ruThi taqdir hun to mujh ko manaya jae
aur gar bigDa muqaddar hun sanwara jaun

ek arse se KHalaon se sada aati hai
aisa lagta hai mujhe us ne pukara jaun

main nahin un mein ki jo KHud ko kisi par thopen
bhar gaya mujh se agar dil ye tumhaara jaun

ab yahan pahle si jazbaat mein shiddat na rahi
ab yahan hoga nahin apna guzara jaun

de KHuda kash use dil ki masihai 'shahab'
aur sahifon sa main phir us pe utara jaun


Leave a comment

+