Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Ali Bahr

  • Ghazal


boliye karta hun minnat aap ki


boliye kartā huuñ minnat aap kī
kyuuñ mukaddar hai tabī.at aap kī

phūñke detī hai kalejā siine meñ
sho.ala ban ban kar mohabbat aap kī

itnī be-parvā.iyāñ achchhī nahīñ
log karte haiñ shikāyat aap kī

chāñdnī muñh par na paḌne dījiye
mailī ho jā.egī rañgat aap kī

ek dil rakhte the vo bhī kho chuke
ho ga.e muflis badaulat aap kī

daaġh ham ko ḳhaal sāhab ko milā
ye nasīb apnā vo qismat aap kī

mar ke phir zinda hue samjheñge ham
jhel jā.eñge jo furqat aap kī

muñh lagā kar phir na hargiz pūchhnā
vaah kyā achchhī hai aadat aap kī

hūreñ jannat se to pariyāñ qaaf se
dekhne aatī haiñ sūrat aap kī

merī sūrat se agar nafrat nahīñ
kyuuñ badal jaatī hai rañgat aap kī

ek bose par hazāroñ hujjateñ
māniye kyuuñ kar saḳhāvat aap kī

sun ke matlab saaf āñkheñ pher liiñ
dekh lī ham ne muravvat aap kī

phuul kī jā pañkhuḌī ai bāġh-e-husn
dāġh-e-dil par hai ināyat aap kī

har kisī ke sāmne rote ho 'bahr'
bah ga.ī āñkhoñ se ġhairat aap kī

boliye karta hun minnat aap ki
kyun mukaddar hai tabiat aap ki

phunke deti hai kaleja sine mein
shoala ban ban kar mohabbat aap ki

itni be-parwaiyan achchhi nahin
log karte hain shikayat aap ki

chandni munh par na paDne dijiye
maili ho jaegi rangat aap ki

ek dil rakhte the wo bhi kho chuke
ho gae muflis badaulat aap ki

dagh hum ko KHal sahab ko mila
ye nasib apna wo qismat aap ki

mar ke phir zinda hue samjhenge hum
jhel jaenge jo furqat aap ki

munh laga kar phir na hargiz puchhna
wah kya achchhi hai aadat aap ki

huren jannat se to pariyan qaf se
dekhne aati hain surat aap ki

meri surat se agar nafrat nahin
kyun badal jati hai rangat aap ki

ek bose par hazaron hujjaten
maniye kyun kar saKHawat aap ki

sun ke matlab saf aankhen pher lin
dekh li hum ne murawwat aap ki

phul ki ja pankhuDi ai bagh-e-husn
dagh-e-dil par hai inayat aap ki

har kisi ke samne rote ho 'bahr'
bah gai aankhon se ghairat aap ki


Source: Mizrab

Leave a comment

+