sar-burīda huā muqābil hai
sab kī āñkhoñ meñ ḳhauf shāmil hai
thā muhāfiz kabhī yahī insāñ
aaj insāniyat kā qātil hai
bastiyāñ phūñknā jalānā ghar
kyā yahī aadmī kā hāmil hai
vaqt kab us kā saath detā hai
roz fardā se jo ki ġhāfil hai
jis ne baḳhshā thā zindagī ko faroġh
ab vo dahshat-garoñ meñ shāmil hai
sar-burida hua muqabil hai
sab ki aankhon mein KHauf shamil hai
tha muhafiz kabhi yahi insan
aaj insaniyat ka qatil hai
bastiyan phunkna jalana ghar
kya yahi aadmi ka hamil hai
waqt kab us ka sath deta hai
roz farda se jo ki ghafil hai
jis ne baKHsha tha zindagi ko farogh
ab wo dahshat-garon mein shamil hai
Leave a comment