fikr-o-iz.hār meñ ḳhud aane lagī pā-mardī
bhuuk kī aag ne lahje meñ tamāzat bhar dī
kuchh to hai ziist jo vaqf-e-mai-o-sāġhar kar dī
varna kis ko hai pasand apne liye bedardī
ishq-e-āvāra-o-badnām ne izzat rakh lī
ham se be-ghar bhī kiyā karte haiñ kūcha-gardī
baat to jab hai ki tum kahne lago us ko basant
gul-o-gulzār pe jo aane lagī hai zardī
aap ke jism pe kyā ḳhuub hai mausam kā libās
haa.e jo alag samajhte nahīñ garmī-sardī
fikr-o-izhaar mein KHud aane lagi pa-mardi
bhuk ki aag ne lahje mein tamazat bhar di
kuchh to hai zist jo waqf-e-mai-o-saghar kar di
warna kis ko hai pasand apne liye bedardi
ishq-e-awara-o-badnam ne izzat rakh li
hum se be-ghar bhi kiya karte hain kucha-gardi
baat to jab hai ki tum kahne lago us ko basant
gul-o-gulzar pe jo aane lagi hai zardi
aap ke jism pe kya KHub hai mausam ka libas
hae jo alag samajhte nahin garmi-sardi
Source: Book : Mohabbat Rasty me.n hai (Pg. 190) Author : Wajih Sani Publication : Samiya Publication (2016) Edition : 2016
Leave a comment