Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Govind Gulshan

  • Ghazal


muntazir aankhen hain meri sham se


muntazir āñkheñ haiñ merī shaam se
sham.a raushan hai tumhāre naam se

chhīn letā hai sukūñ shohrat kā shauq
is liye ham rah ga.e gumnām se

sach kī ḳhātir jaan jaatī hai to jaa.e
ham nahīñ Darte kisī anjām se

apne man kī baat ab kis se kahūñ
aa.ina nārāz hai kal shaam se

kyā ajab duniyā hai ye duniyā yahāñ
log milte haiñ magar bas kaam se

aisā kuchh ho jaa.e dil TuuTe nahīñ
sochiyegā aap bhī ārām se

mujh se pūchho āñsuoñ kī barkateñ
mutma.in huuñ ranj-o-ġham ālām se

muntazir aankhen hain meri sham se
shama raushan hai tumhaare nam se

chhin leta hai sukun shohrat ka shauq
is liye hum rah gae gumnam se

sach ki KHatir jaan jati hai to jae
hum nahin Darte kisi anjam se

apne man ki baat ab kis se kahun
aaina naraaz hai kal sham se

kya ajab duniya hai ye duniya yahan
log milte hain magar bas kaam se

aisa kuchh ho jae dil TuTe nahin
sochiyega aap bhi aaram se

mujh se puchho aansuon ki barkaten
mutmain hun ranj-o-gham aalam se


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+