Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


ghar ko jaane ka rasta nahin tha


ghar ko jaane kā rāsta nahīñ thā
varna karne ko kyā se kyā nahīñ thā

mujhe kahtā thā chhoḌ de mujh ko
aur mirā haath chhoḌtā nahīñ thā

kaam saare durust the mere
jab mujhe koī Toktā nahīñ thā

log ā.ankhoñ se aate jaate the
harf jab rāsta banā nahīñ thā

tab kahīñ log jānte the mujhe
jab mujhe koī jāntā nahīñ thā

ghar ko jaane ka rasta nahin tha
warna karne ko kya se kya nahin tha

mujhe kahta tha chhoD de mujh ko
aur mera hath chhoDta nahin tha

kaam sare durust the mere
jab mujhe koi Tokta nahin tha

log aaankhon se aate jate the
harf jab rasta bana nahin tha

tab kahin log jaante the mujhe
jab mujhe koi jaanta nahin tha


Source: Deewan-e-habeeb

Leave a comment

+