chain paḌtā nahīñ hai sone meñ
sūiyāñ to nahīñ bichhaune meñ
chehra ashkoñ se yuuñ bhigone meñ
kyā sukūñ mil rahā hai rone meñ
ik nazar kā savāl hotā hai
iḳhtilāfāt ḳhatm hone meñ
aap ishrat-pasand kyā jāneñ
vo jo lazzat hai zaḳhm dhone meñ
kaun paude sadāqatoñ ke lagā.e
din lageñge daraḳht hone meñ
ek majbūr kī hañsī dekhī
farq kyā rah gayā thā rone meñ
kuchh to hai qadr-e-mushtarak 'ehsās'
un ko hañsne meñ mere rone meñ
chain paDta nahin hai sone mein
suiyan to nahin bichhaune mein
chehra ashkon se yun bhigone mein
kya sukun mil raha hai rone mein
ek nazar ka sawal hota hai
iKHtilafat KHatm hone mein
aap ishrat-pasand kya jaanen
wo jo lazzat hai zaKHm dhone mein
kaun paude sadaqaton ke lagae
din lagenge daraKHt hone mein
ek majbur ki hansi dekhi
farq kya rah gaya tha rone mein
kuchh to hai qadr-e-mushtarak 'ehsas'
un ko hansne mein mere rone mein
Leave a comment