kyā hai ūñchā.ī mohabbat kī batāte jaao
panchhiyoñ uḌ ke yuuñ hī ḳhvāb dikhāte jaao
peḌ patthar kā javāb aaj bhī dete phal se
choT khaao bhale par rishte nibhāte jaao
yuuñ bhī paiġhām mohabbat kā pahuñch jā.egā
saath insāñ ke parindoñ ko basāte jaao
shahr meñ kaam bahut saare samay lekin kam
mat karo baat magar haath hilāte jaao
ik do mat-bhed to har ghar meñ huā karte haiñ
in ko netā jī havā mat do bujhāte jaao
gaañv meñ naav thī kāġhaz kī safar āsāñ thā
ik musāfir huuñ yahāñ raah dikhāte jaao
gāliyāñ aise hī do mujh ko hamesha 'ātish'
ġhalatiyāñ merī isī tarah batāte jaao
kya hai unchai mohabbat ki batate jao
panchhiyon uD ke yun hi KHwab dikhate jao
peD patthar ka jawab aaj bhi dete phal se
choT khao bhale par rishte nibhate jao
yun bhi paigham mohabbat ka pahunch jaega
sath insan ke parindon ko basate jao
shahr mein kaam bahut sare samay lekin kam
mat karo baat magar hath hilate jao
ek do mat-bhed to har ghar mein hua karte hain
in ko neta ji hawa mat do bujhate jao
ganw mein naw thi kaghaz ki safar aasan tha
ek musafir hun yahan rah dikhate jao
galiyan aise hi do mujh ko hamesha 'atish'
ghalatiyan meri isi tarah batate jao
Leave a comment