barsāt kā mazā tire gesū dikhā ga.e
aks āsmān par jo paḌā abr chhā ga.e
aa.e kabhī to saikḌoñ bāteñ sunā ga.e
qurbān aise aane ke kyā aa.e kyā ga.e
sun paa.ī merī ābla-pā.ī kī jab ḳhabar
chāroñ taraf vo raah meñ kāñTe bichhā ga.e
ham vo nahīñ suneñ jo burā.ī huzūr kī
ye aap the jo ġhair kī bātoñ meñ aa ga.e
maiñ ne jo taḳhliya meñ kahā hāl-e-dil kabhī
muñh se na kuchh javāb diyā muskurā ga.e
barsat ka maza tere gesu dikha gae
aks aasman par jo paDa abr chha gae
aae kabhi to saikDon baaten suna gae
qurban aise aane ke kya aae kya gae
sun pai meri aabla-pai ki jab KHabar
chaaron taraf wo rah mein kanTe bichha gae
hum wo nahin sunen jo burai huzur ki
ye aap the jo ghair ki baaton mein aa gae
main ne jo taKHliya mein kaha haal-e-dil kabhi
munh se na kuchh jawab diya muskura gae
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 70)
Leave a comment