Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Dehlvi

  • Ghazal


kuchh shikwe-gile hote kuchh taish siwa hota


kuchh shikve-gile hote kuchh taish sivā hotā
qismat meñ na milnā thā milte bhī to kyā hotā

jaate to qalaq hotā aate to ḳhafā hote
ham jaate to kyā hotā vo aate to kyā hotā

shikvoñ kā gilā kyā hai insāf to kar zālim
kyā kuchh na kiyā hotā gar tū merī jā hotā

gar sulh Thahar jaatī sau fitne uThe hote
achchhā hai na milnā hī milte to burā hotā

socho to 'zahīr' āḳhir vo jaur to kartā hai
maiñ us se gilā kar ke mahrūm-e-jafā hotā

kuchh shikwe-gile hote kuchh taish siwa hota
qismat mein na milna tha milte bhi to kya hota

jate to qalaq hota aate to KHafa hote
hum jate to kya hota wo aate to kya hota

shikwon ka gila kya hai insaf to kar zalim
kya kuchh na kiya hota gar tu meri ja hota

gar sulh Thahar jati sau fitne uThe hote
achchha hai na milna hi milte to bura hota

socho to 'zahir' aaKHir wo jaur to karta hai
main us se gila kar ke mahrum-e-jafa hota


Leave a comment

+