Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bashar Nawaz

  • Ghazal


sare manzar fusun tamasha hain


saare manzar fusūñ tamāshā haiñ
kal ghaTā.eñ thiiñ aaj dariyā haiñ

koī yādoñ se joḌ le ham ko
ham bhī ik TūTtā sā rishta haiñ

naav jaise bhañvar meñ chakrā.e
ab bhī āñkhoñ meñ ḳhvāb zinda haiñ

be-tahāsha havāoñ se pūchheñ
rāste kis safar kā nauha haiñ

dhund oḌhe nigāheñ kaisī haiñ
saañs lete hue khañDar kyā haiñ

sare manzar fusun tamasha hain
kal ghaTaen thin aaj dariya hain

koi yaadon se joD le hum ko
hum bhi ek TuTta sa rishta hain

naw jaise bhanwar mein chakrae
ab bhi aankhon mein KHwab zinda hain

be-tahasha hawaon se puchhen
raste kis safar ka nauha hain

dhund oDhe nigahen kaisi hain
sans lete hue khanDar kya hain


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+