Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taban Abdul Hai

  • Ghazal


tu mil us se ho jis se dil tera KHush


tū mil us se ho jis se dil tirā ḳhush
balā se terī maiñ nā-ḳhush huuñ yā ḳhush

ḳhushī terī jise har-dam ho darkār
koī is se nahīñ hotā hai nā-ḳhush

koī ab ke zamāne meñ na hogā
ilāhī āshnā se āshnā ḳhush

falak ke haath se ai ḳhāliq-e-ḳhalq
kui nahīñ aa ke duniyā meñ rahā ḳhush

tirā saaya ho jis par us ko hargiz
na aave sāya-e-bāl-e-humā ḳhush

qafas meñ aah had iizā hai ham ko
na aatī kaash gulshan kī havā ḳhush

agar laave tū bū us gul-badan kī
to hoñ tujh se nihāyat ai sabā ḳhush

kiyā qatl un ne mujh ko ġhair se mil
huā dushman judā ḳhush vo judā ḳhush

nasīhat kī thī un ne mai-kashoñ ko
bahut mastoñ ne zāhid ko kiyā ḳhush

mū-e-ātish meñ jal parvāna o sham.a
mohabbat se maiñ un kī had huā ḳhush

kiyā chaak ai junūñ tirā bhalā ho
kabhū maiñ is garebāñ se na thā ḳhush

gayā thā sair ko le saaqī o mai
na aa.ī baaġh kī āb-o-havā ḳhush

kiyā qātil ne bismil ko mire dekh
mujhe lagtā hai is kā loTnā ḳhush

sune kyūñkar vo labbaik-e-haram ko
jise nāqūs kī aa.e sadā ḳhush

satānā be-diloñ ke dil ko har-dam
tumheñ ai dilbaro aatā hai kyā ḳhush

sumūd o qāqum o sanjāb hai pashm
mujhe aatā hai TuuTā boriyā ḳhush

sanam ke paas se qāsid phirā hai
ḳhudā jaane ki maiñ nā-ḳhush huuñ yā ḳhush

koī ḳhush hove ḳhūbāñ kī vafā se
mujhe to un kī aatī hai jafā ḳhush

na chhoḌūñgā kabhī maiñ but-parastī
na ho go mujh se ai 'tābāñ' ḳhudā ḳhush

tu mil us se ho jis se dil tera KHush
bala se teri main na-KHush hun ya KHush

KHushi teri jise har-dam ho darkar
koi is se nahin hota hai na-KHush

koi ab ke zamane mein na hoga
ilahi aashna se aashna KHush

falak ke hath se ai KHaliq-e-KHalq
kui nahin aa ke duniya mein raha KHush

tera saya ho jis par us ko hargiz
na aawe saya-e-baal-e-huma KHush

qafas mein aah had iza hai hum ko
na aati kash gulshan ki hawa KHush

agar lawe tu bu us gul-badan ki
to hon tujh se nihayat ai saba KHush

kiya qatl un ne mujh ko ghair se mil
hua dushman juda KHush wo juda KHush

nasihat ki thi un ne mai-kashon ko
bahut maston ne zahid ko kiya KHush

mu-e-atish mein jal parwana o shama
mohabbat se main un ki had hua KHush

kiya chaak ai junun tera bhala ho
kabhu main is gareban se na tha KHush

gaya tha sair ko le saqi o mai
na aai bagh ki aab-o-hawa KHush

kiya qatil ne bismil ko mere dekh
mujhe lagta hai is ka loTna KHush

sune kyunkar wo labbaik-e-haram ko
jise naqus ki aae sada KHush

satana be-dilon ke dil ko har-dam
tumhein ai dilbaro aata hai kya KHush

sumud o qaqum o sanjab hai pashm
mujhe aata hai TuTa boriya KHush

sanam ke pas se qasid phira hai
KHuda jaane ki main na-KHush hun ya KHush

koi KHush howe KHuban ki wafa se
mujhe to un ki aati hai jafa KHush

na chhoDunga kabhi main but-parasti
na ho go mujh se ai 'taban' KHuda KHush


Leave a comment

+