kaun hote haiñ vo mahfil se uThāne vaale
yuuñ to jaate bhī magar ab nahīñ jaane vaale
āh-e-pur-soz kī tāsīr burī hotī hai
ḳhush raheñge na ġharīboñ ko satāne vaale
kūcha-e-yār meñ ham ko to qazā laa.ī hai
jaan jā.egī magar ham nahīñ jaane vaale
ham ko kyā kaam kisī aur parī se tauba
aap bhī ḳhuub haiñ be-par kī uḌāne vaale
jis qadar chāhiye biThlā.iye pahre dar par
band rahne ke nahīñ ḳhvāb meñ aane vaale
kyā qayāmat hai ki rulvā ke hameñ ai 'jauhar'
qahqahe maar ke hañste haiñ rulāne vaale
kaun hote hain wo mahfil se uThane wale
yun to jate bhi magar ab nahin jaane wale
aah-e-pur-soz ki tasir buri hoti hai
KHush rahenge na gharibon ko satane wale
kucha-e-yar mein hum ko to qaza lai hai
jaan jaegi magar hum nahin jaane wale
hum ko kya kaam kisi aur pari se tauba
aap bhi KHub hain be-par ki uDane wale
jis qadar chahiye biThlaiye pahre dar par
band rahne ke nahin KHwab mein aane wale
kya qayamat hai ki rulwa ke hamein ai 'jauhar'
qahqahe mar ke hanste hain rulane wale
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 63)
Leave a comment