Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haleem Sabir

  • Ghazal


shohraten auron ne pain nam auron ko mila


shohrateñ auroñ ne pā.īñ naam auroñ ko milā
kaam to ham ne kiyā in.aam auroñ ko milā

fasl jo maiñ ne ugaa.ī kar ke mehnat raat din
jab bikī vo fasl merī daam auroñ ko milā

mere purkhoñ ne lagā.e peḌ jo mere liye
un kī ThanDī chhāñv meñ ārām auroñ ko milā

mere hisse meñ sulagtī dopahar kī dhuup thī
zindagī kā lutf sub.h-o-shām auroñ ko milā

thī hamārī haisiyat is shahr meñ me.amār kī
ham ne chhat ta.amīr kī ārām auroñ ko milā

ham bhī pyāse the magar muñh dekhte hī rah ga.e
dast-e-sāqī se chhalaktā jaam auroñ ko milā

mujh ko 'sābir' har qadam par raah meñ kāñTe mile
phūloñ se ārāsta har-gām auroñ ko milā

shohraten auron ne pain nam auron ko mila
kaam to hum ne kiya inam auron ko mila

fasl jo main ne ugai kar ke mehnat raat din
jab biki wo fasl meri dam auron ko mila

mere purkhon ne lagae peD jo mere liye
un ki ThanDi chhanw mein aaram auron ko mila

mere hisse mein sulagti dopahar ki dhup thi
zindagi ka lutf subh-o-sham auron ko mila

thi hamari haisiyat is shahr mein meamar ki
hum ne chhat tamir ki aaram auron ko mila

hum bhi pyase the magar munh dekhte hi rah gae
dast-e-saqi se chhalakta jam auron ko mila

mujh ko 'sabir' har qadam par rah mein kanTe mile
phulon se aarasta har-gam auron ko mila


Leave a comment

+