Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dipak Prajapati Khaalis

  • Ghazal


ye jo KHwabon ka chaska lag raha hai


ye jo ḳhvāboñ kā chaskā lag rahā hai
faqat nīñdoñ kā dhokā lag rahā hai

duā jiine kī sab dene lage haiñ
mujhe marne kā ḳhatra lag rahā hai

tumhārā hī karam hai mire dard
jo merā sher puḳhta lag rahā hai

mujhe jab se lagā hai nashsha-e-ġham
mujhe har nashsha halkā lag rahā hai

magar ye maiñ nahīñ huuñ aa.ine meñ
ye koī hai jo mujh sā lag rahā hai

mirī kashtī meñ koī chhed kar do
mujhe dariyā nihatthā lag rahā hai

kahāñ pe phañs gayā huuñ maiñ bhī aa kar
ye jism ik band kamra lag rahā hai

ye jo KHwabon ka chaska lag raha hai
faqat nindon ka dhoka lag raha hai

dua jine ki sab dene lage hain
mujhe marne ka KHatra lag raha hai

tumhaara hi karam hai mere dard
jo mera sher puKHta lag raha hai

mujhe jab se laga hai nashsha-e-gham
mujhe har nashsha halka lag raha hai

magar ye main nahin hun aaine mein
ye koi hai jo mujh sa lag raha hai

meri kashti mein koi chhed kar do
mujhe dariya nihattha lag raha hai

kahan pe phans gaya hun main bhi aa kar
ye jism ek band kamra lag raha hai


Source: Deewan-e-habeeb

Leave a comment

+