dil par jo zaḳhm haiñ vo dikhā.eñ kisī ko kyā
apnā sharīk-e-dard banā.eñ kisī ko kyā
har shaḳhs apne apne ġhamoñ meñ hai mubtalā
zindāñ meñ apne saath rulā.eñ kisī ko kyā
bichhḌe hue vo yaar vo chhoḌe hue dayār
rah rah ke ham ko yaad jo aa.eñ kisī ko kyā
rone ko apne haal pe tanhā.ī hai bahut
us anjuman meñ ḳhud pe hañsā.eñ kisī ko kyā
vo baat chheḌ jis meñ jhalaktā ho sab kā ġham
yādeñ kisī kī tujh ko satā.eñ kisī ko kyā
so.e hue haiñ log to hoñge sukūn se
ham jāgne kā rog lagā.eñ kisī ko kyā
'jālib' na aa.egā koī ahvāl pūchhne
deñ shahr-e-be-hisāñ meñ sadā.eñ kisī ko kyā
dil par jo zaKHm hain wo dikhaen kisi ko kya
apna sharik-e-dard banaen kisi ko kya
har shaKHs apne apne ghamon mein hai mubtala
zindan mein apne sath rulaen kisi ko kya
bichhDe hue wo yar wo chhoDe hue dayar
rah rah ke hum ko yaad jo aaen kisi ko kya
rone ko apne haal pe tanhai hai bahut
us anjuman mein KHud pe hansaen kisi ko kya
wo baat chheD jis mein jhalakta ho sab ka gham
yaaden kisi ki tujh ko sataen kisi ko kya
soe hue hain log to honge sukun se
hum jagne ka rog lagaen kisi ko kya
'jalib' na aaega koi ahwal puchhne
den shahr-e-be-hisan mein sadaen kisi ko kya
Source: Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 411)
Leave a comment