Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


mujh qabr se yar kyunke jawe


mujh qabr se yaar kyūñke jaave
hai sham-e-mazār kyūñke jaave

rahtā hai raqīb nit tere sañg
chhātī kā pahāḌ kyūñke jaave

hairāñ hue bas-ki muñh terā dekh
gulshan se bahār kyūñke jaave

hai hijr kī raat sansanātī
nāgin se funkār kyūñke jaave

nit hai mirā kiina us ke dil meñ
patthar se sharār kyūñke jaave

kis vaj.h uThe vo muñh se ye dil
gulshan se hazār kyūñke jaave

gulzār ko fasl-e-gul meñ āshiq
pai lāla-e-dāġh-dār kyūñke jaave

hai bazm butoñ se shaiḳh mahrūm
jannat meñ himār kyūñke jaave

muñh se tere sarke zulf kis vaj.h
gulzār se maar kyūñke jaave

kyūñkar karūñ zabt-e-āh qātil
ghāyal se pukār kyūñke jaave

jiitā hai usī galī meñ 'uzlat'
jab jī diyā haar kyūñke jaave

mujh qabr se yar kyunke jawe
hai sham-e-mazar kyunke jawe

rahta hai raqib nit tere sang
chhati ka pahaD kyunke jawe

hairan hue bas-ki munh tera dekh
gulshan se bahaar kyunke jawe

hai hijr ki raat sansanati
nagin se funkar kyunke jawe

nit hai mera kina us ke dil mein
patthar se sharar kyunke jawe

kis wajh uThe wo munh se ye dil
gulshan se hazar kyunke jawe

gulzar ko fasl-e-gul mein aashiq
pai lala-e-dagh-dar kyunke jawe

hai bazm buton se shaiKH mahrum
jannat mein himar kyunke jawe

munh se tere sarke zulf kis wajh
gulzar se mar kyunke jawe

kyunkar karun zabt-e-ah qatil
ghayal se pukar kyunke jawe

jita hai usi gali mein 'uzlat'
jab ji diya haar kyunke jawe


Source: Saat Suron Ki Mithi Halchal

Leave a comment

+