mire nuqūsh tire zehn se miTā degā
mirā safar hī mire fāsle baḌhā degā
añdherī raat hai is tund-ḳhū se mat kahnā
vo raushnī ke liye apnā ghar jalā degā
maiñ us kā sab se huuñ pyārā magar bichhaḌte hī
vo sab ko yaad karegā mujhe bhulā degā
banā huā huuñ maiñ mujrim baġhair jurm kiye
ab aur kyā mirā munsif mujhe sazā degā
ugāyā jis ne hai banjar zamīñ meñ tujh ko 'nasīm'
hai kyā ba.iid ki vo phuul bhī khilā degā
mere nuqush tere zehn se miTa dega
mera safar hi mere fasle baDha dega
andheri raat hai is tund-KHu se mat kahna
wo raushni ke liye apna ghar jala dega
main us ka sab se hun pyara magar bichhaDte hi
wo sab ko yaad karega mujhe bhula dega
bana hua hun main mujrim baghair jurm kiye
ab aur kya mera munsif mujhe saza dega
ugaya jis ne hai banjar zamin mein tujh ko 'nasim'
hai kya baid ki wo phul bhi khila dega
Leave a comment