aao baiTho hañso mazā ho
kuchh to farmāo kyuuñ ḳhafā ho
lau sham.a kī bujhne ko hai ai gul
mahfil meñ na koī dil jalā ho
dil kā dukhnā usī se kahiye
jo dard kī qadr jāntā ho
shīsha talvoñ meñ chubh na jaa.e
Thukrāte ho dil ko kaj-kulāho
bahkī bahkī hoñ us kī bāteñ
saaqī saaqī pukārtā ho
ujlī ujlī sī chāñdnī meñ
gorā gorā badan khulā ho
aao baiTho hanso maza ho
kuchh to farmao kyun KHafa ho
lau shama ki bujhne ko hai ai gul
mahfil mein na koi dil jala ho
dil ka dukhna usi se kahiye
jo dard ki qadr jaanta ho
shisha talwon mein chubh na jae
Thukraate ho dil ko kaj-kulaho
bahki bahki hon us ki baaten
saqi saqi pukarta ho
ujli ujli si chandni mein
gora gora badan khula ho
Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 46)
Leave a comment