Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lala Madhav Ram Jauhar

  • Ghazal


hum na chhoDenge mohabbat teri ai zulf-e-siyah


ham na chhoḌeñge mohabbat tirī ai zulf-e-siyāh
sar chaḌhāyā hai tū kyā dil se girā.eñ tujh ko

chhoḌ kar ham ko milā sham.a-ruḳhoñ se jā kar
isī qābil hai tū ai dil ki jalā.eñ tujh ko

dard-e-dil kahte hue bazm meñ aatā hai hijāb
taḳhliya ho to kuchh ahvāl sunā.eñ tujh ko

apne ma.ashūq kī suntā hai burā.ī koī
kyuuñ na ham bigḌeñ jo aġhyār banā.eñ tujh ko

rūThtā huuñ jo kabhī maiñ to ye kahtā hai vo shoḳh
kyā ġharaz ham ko paḌī hai jo manā.eñ tujh ko

tū ne aġhyār se ā.īna mañgā kar dekhā
dil meñ aatā hai ki ab muñh na dikhā.eñ tujh ko

hum na chhoDenge mohabbat teri ai zulf-e-siyah
sar chaDhaya hai tu kya dil se giraen tujh ko

chhoD kar hum ko mila shama-ruKHon se ja kar
isi qabil hai tu ai dil ki jalaen tujh ko

dard-e-dil kahte hue bazm mein aata hai hijab
taKHliya ho to kuchh ahwal sunaen tujh ko

apne mashuq ki sunta hai burai koi
kyun na hum bigDen jo aghyar banaen tujh ko

ruThta hun jo kabhi main to ye kahta hai wo shoKH
kya gharaz hum ko paDi hai jo manaen tujh ko

tu ne aghyar se aaina manga kar dekha
dil mein aata hai ki ab munh na dikhaen tujh ko


Source: Book : Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 48)

Leave a comment

+