dil muzmahil hai terī navāzish ke bāvajūd
ye sarzamīñ udaas hai bārish ke bāvajūd
ḳhīra na kar sake nigah-e-imtiyāz ko
jhūTe nagīñ numūd-o-numā.ish ke bāvajūd
ek phuul bhī chaman meñ na dil khol kar hañsā
shabnam ke āñsuoñ kī guzārish ke bāvajūd
kyā qahr hai ki jhuuT meñ miltī hai āfiyat
sach bolnā muhāl hai ḳhvāhish ke bāvajūd
merā vaqār ziist na majrūh kar sake
dushman hazār hīla-o-sāzish ke bāvajūd
apnī ġhalat ravish ko na tabdīl kar sake
kuchh dost baar baar guzārish ke bāvajūd
barḳhud ġhalat kabhī na hue zindagī meñ 'lais'
duniyā-e-fan meñ dād-o-satā.ish ke bāvajūd
dil muzmahil hai teri nawazish ke bawajud
ye sarzamin udas hai barish ke bawajud
KHira na kar sake nigah-e-imtiyaz ko
jhuTe nagin numud-o-numaish ke bawajud
ek phul bhi chaman mein na dil khol kar hansa
shabnam ke aansuon ki guzarish ke bawajud
kya qahr hai ki jhuT mein milti hai aafiyat
sach bolna muhaal hai KHwahish ke bawajud
mera waqar zist na majruh kar sake
dushman hazar hila-o-sazish ke bawajud
apni ghalat rawish ko na tabdil kar sake
kuchh dost bar bar guzarish ke bawajud
barKHud ghalat kabhi na hue zindagi mein 'lais'
duniya-e-fan mein dad-o-sataish ke bawajud
Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 652) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009
Leave a comment