Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lais Quraishi

  • Ghazal


manazir-e-shab-e-rafta KHayal-o-KHwab hue


manāzir-e-shab-e-rafta ḳhayāl-o-ḳhvāb hue
vo ashk the ki sitāre sabhī ḳharāb hue

vo nā-ḳhudā ki ḳhudā.ī kā jin ko da.avā thā
safīne un kī himāqat se zer-e-āb hue

ham ahl-e-dard zamāne ke haath kyā aate
ki ham to apne liye bhī na dastiyāb hue

talāsh-e-jām-e-tarab meñ kahāñ kahāñ na ga.e
piye baġhair bhī ham to bahut ḳharāb hue

ham un ke aib ko kyā aur kyuuñ ayaañ karte
jo be-zamīr the vo ḳhud hī be-naqāb hue

fareb hī se navāzā hai un rafīqoñ ne
mirī janāb meñ aa kar jo bāryāb hue

tamām umr mazāq-e-junūñ jo rakhte the
rah-e-ḳhirad meñ vahī log kāmyāb hue

hamārā sabr hai be-intihā to hairat kyā
ki 'lais' ham pe sitam bhī to be-hisāb hue

manazir-e-shab-e-rafta KHayal-o-KHwab hue
wo ashk the ki sitare sabhi KHarab hue

wo na-KHuda ki KHudai ka jin ko dawa tha
safine un ki himaqat se zer-e-ab hue

hum ahl-e-dard zamane ke hath kya aate
ki hum to apne liye bhi na dastiyab hue

talash-e-jam-e-tarab mein kahan kahan na gae
piye baghair bhi hum to bahut KHarab hue

hum un ke aib ko kya aur kyun ayan karte
jo be-zamir the wo KHud hi be-naqab hue

fareb hi se nawaza hai un rafiqon ne
meri janab mein aa kar jo baryab hue

tamam umr mazaq-e-junun jo rakhte the
rah-e-KHirad mein wahi log kaamyab hue

hamara sabr hai be-intiha to hairat kya
ki 'lais' hum pe sitam bhi to be-hisab hue


Leave a comment

+